17 January 2013
sir,mein 20-12-2010 se government job basic teacher in u.p. mein kar rahi hoon.ab mujhe 20-12-2010 se 31-05-2012 tak ka arrier Rs. 374000/- february 2013 mein milega. mujhe june 2012 se august 2012 tak ki sakary 72000/- mil chuki hai . september 2012 se mera transfer other district mein hone ke karan abhi tak salary nahi mili hai . main apna salary detail for income tax ke liye kahaan bharoon ?meri koi bachat nahi hai. mera income tax kitna banega. salary for dec10-mar-2011--66335 saalry for apr-2011 -march-2012-- 256857 salary for apr-2012 may 2012=45122
18 January 2013
sabse pehle apko salary arrear ko divide karna padega F.Y. 2010-11 (20-12-10 to 31-03-11) F.Y. 2011-12 (01-04-11 to 31-03-12) F.Y. 2012-13 (01-04-12 to 31-05-12)
Arrear Rs. 374000/- divide karo upar k F.Ys main
baad main
F.Y. 2010-11, F.Y. 2011-12 Ki Salary K Sath Arrear Ko Jodo... Or tax Ki Ginti Phir se karo
iska matlab Jis sal ka arrear hain usi sal main tax liability pata karna hain
ab apko F.Y. 2012-13 ka arrear and salary ka total karna hain....upto March'14 jiski bhi tax liability nikalni padegi
apke paas har saal ki tax liability ho jayegi...ok
ab jab k sara arrear apko isi saal main mila hain to sabse pehle is saal main arrear add karke tax liability nikal ni hain......or us liability ko reduce karne k liye aapko 10E ka Form Bharna Padega....jo apko u/s 89(1) main relief dega...jiski help k liye aapko FILE Section main se calculation file mil jayegi
akhir main, apko jaha pe apka working march'14 ending hoga vahape bharna hain or jo aapka tax arrear 374000/- ka saath ginke deduct karne valaho vaha pe aapko 10E ka form jama karvana hain, jis ke karan apka tax sahi kate,
ek advice,apka salary scale jyada hain isliye aapko tax saving investment k baremain soch na hoga,or march'14 se pehle invest bhi karle