Zindagi pe aeitbaar kiya hai kisne,
Mohabbat be-intehaa kiya hai kisne,
Phool aur bhavre toh sabhi ban jaate hai magar,
Shama aur parwane ki tarah jiya hai kisne.
Khuda se kya maangu tere vaaste
Sada khushiyon se bhare ho tere raaste
Hansi tere chehre pe rahe is tarah
Khushboo phool ka saath nibhati hai jis tarah
Sukh itna mile ki tu dukh ko tarse
Paisa shohrat izzat raat din barse
Aasma ho ya zameen har taraf tera naam ho
Mehkti hui subah aur lehlahati shaam ho
Teri koshish ko kamyaabi ki aadat ho jaye
Sara jag tham jaye tu jab bhi gaye
Kabhi koi pareshani tujhe na sataye
Raat ke andhere mein bhi tu sada chamchamaye
Dua yeh meri kubool ho jaye
Khushiyan tere dar se na jaye
Ek choti si arzi hai maan lena
Hum bhi tere dost hain ye jaan lena
Khushiyon me chahe hum yaad aye na aye
Par jab bhi zarurat pade hamara naam lena
Is jahan me honge to zaroor ayenge.
Hum chahkar bhi tumhe pa na sake
Par tumne na chahkar bhi hume pa liya
Hum na chahkar bhi tumhe bhulane ki koshish kar rahe hai
Par tum chahkar bhi hume bhula na sake
Hum chahkar bhi tumhe khushiya na de sake
Par tum na chahkar bhi hume khushiya de gaye
Hum chahkar bhi pyaar nibha na sake
Par tum na chahkar bhi pyaar nibha gaye