Dard me koi mousam pyara nahi hota,
Dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota.
Koi dekhe to humari bebasi,
Hum sabhi k ho jate hain
Par koi humara nahi hota
Originally posted by : Saritha and Vikas | ||
Jo Tune Diya Usse Hum Yaad Karenge, Har Pal Tere Milne Ki Faryaad karenge. Chale Aana Jab Kabhi Khayal Aaye Mera, Hum Roz Khuda se pehle Tujhe Yaad Karenge. |
Good one
Mujarim hu tera aa mujhe jo chaahe sazaa de
Mujarim hu tera aa mujhe jo chaahe sazaa de
Iss dil mai muhabbat ki sanam aag lagaa de
Jazbaat kaa dil me koi tufaan uthaa ke
Kahate hai jise pyaar zamaane ko dikhaa de
Duniyaa se kabhi pyaar kaa shikavaa na karunga
Le haath me Khanjar meri gardan ko udaa de
Inn mast nigaaho se Sar-Ae-Shaam pilaakar
Devaane ko kuch aur hi devanaa bana de
Ab pyaar ki iss raah se kaanto ko Uthakar
Dushman ko jalaane ke liye phul bichhaa de
Ab Husn-Ae-Tajallii se jale “Baaz” hai tera
Rukhsaar pe apne zara parde ko gira de
Vikas Gupta
(CHARTERED ACCOUNTANT)
(16295 Points)
Replied 10 December 2010
tute huye paimaane me jaam nahin aata,,,
ishk k mareez ko aaram nahin aata,,
dil torne wale kamse kam ye to socha hota,,
k tuta hua dil kisi k kaam nahin aata...
Vikas Gupta
(CHARTERED ACCOUNTANT)
(16295 Points)
Replied 10 December 2010
Aasoo-on Ke Chalne Ki Aawaaz Nahi Hoti,
Dil Ke Tootne Ki Aahat Nahi Hoti,
Agar Hota Khuda Ko Har Dard Ka Ehsaas,
To Usey Dard Dene Ki Aadat Nahi Hoti!
Bewafa wo na the, Bewafa hum na the
Wo halaat hi kuch tabh aise the
Isliye shayad sath aaj hum na the
Wo aaj kisee aur ke hai
Main aaj kisee aur ka haun
Hai sab kuch mere aas paas jab bhi
Tanha sa mahsoos karta bhid me abh bhi
Ye janta wo kabhi na mere ho sakte jab bhi
Na jaane kyo phir bhi unhe paane ki aas hai abh bhi
Jitna uske yaado se dooor jana chahta hun jabh bhi
Use utna hi dil ke kareeb pataa houn abh bhi
Milte hai aaj woh kahin jab bhi
Dil me ek dard sa uthta hai tabh bhi
Dhunta hu har shey me unko abh bhi
Rona to bahot chaha magar aansu na nikle tabh bhi