Mit chuki hai meri har khushi, Muskurane se kya fayda
Mere daman mai hai dag tera, Ab mitane se kya fayda
Lut gai hai meri har khushi, Ab bachane se kya fayda
Tu mera tha na ho ga kabhi, Ye batane se kya fayda
Umar bhar tadhpe tere liye, Ab jatane se kya fayda
Tu milega hai dil ko yakin, Teri banhon mai nikle yeh dam
Maut ho jayegi fir hansi, Fir tadapne se kya fayda
Ye to dil ki hai batein sabhi, Ab batane se kya fayda