waqt guzarta raha par sasain thami si thi,
muskura rahe tahe hum par ankhon main nami si thi,
sath humare tha ye sara zamana par,
na jane kyon kisi ki kami si thi.
(Guest)
tarasti nazron ne har pal us ka sath manga,
jaise asman ne raat main chand manga,
roth gaya woh khuda bhi hum se,
jab hum ne har dua main tumhara sath manga
(Guest)
un ki mohabbat ka abhi nishan baki hai,
naam lab par hai aur jaan baki hai,
kiya hua agar dekh kar mouh pher lete hain woh
tassali hai k shakal ki pehchan abhi baki hai
aye khuda aaj nazron ko kuch aisi beenai de
jidhar dekhon udhar woh he dekhai de
kash aisi meharbaniyan hoon aaj hawa main
k us ko pukaron aur ussi ko sunai de
(Guest)
Is Dil Main Aaj Bhi Kisi Ka Pyar Baki Hai
Is Dil Main Aaj Bhi Kisi Ka Intezar Baki Hai
Maut Ke Baad Bhi Khuli Hain Aankein
Kyu Ki Aaj Bhi Kisi Ka Deedar Baki Hai
(Guest)
Yaad Karte Hain Yaaron Ko,
Yaadon Se Dil Bhar Aata Hai...
Kabhi Saath Jiya Karte the sab,
Aaj Milne Ko Dil Taras Jaata Hai...
(Guest)
Nazar ne nazar se mulaqat kar li, rahe dono ek dam khamosh par phir bhi baat karli.
Kuch samay baad Mohabbat ki fiza ko tab jana jab khud ko akela paya, au r tab mere in aankhon ne ro ro ke barsaat kar li.
(Guest)
Apni to mohobbat ki itni si kahani hai, Tuti hui kashti thera hua pani hai,
Ek phool kitabo mein dam tod chuka hai, Magar kuch yaad nahi aata ye kiski nishani hai.