Meri maa ne mujhe aaj chalna sikha diya

priyanshu saxena (MBL LL.B.(Hons.) CS (Professional) with 4 yrs exp as Law editor in Thakur Publishers Pvt. Ltd.)   (2653 Points)

14 April 2012  

 

 

Meri maa ne mujhe aaj chalna sikha diya

Sone ki tarah aag me Galna sika diya

Ujaala karta ho jo poore makaan me

Roshan diye sa mujhko jalna sikha diya

 

 

Khaali tasveer tha ye jeevan mera

Kora kagaj tha astitva mera

pyaari maa ne apne haathon se

Sundar ek pratima me dhalna sikha diya

Meri maa ne mujhe aaj chalna sikha diya

 

Jhilmilati hai duniya meri jab meri maa khush hoti hai

Saari kaaynaat roti hoti hai meri jab meri maa udaas hoti hai

Ae khuda use koi gum na dena jisne mujhe paida kiya

Meri duniya usi se shuru aur usi pe khatam hoti hai

 

 

I love u mumma

 

By: me