ATMA DARPAN ......KORA KAAGAZ


(Guest)

 

ATMA DARPAN………KORA KAAGAZ
KORA KAAGAZ, KAI BAAR SUNA HOGA APNE YE SHABD, KYA GEHRAI HAI IS ME, HUM AKSAR IS WORD KO USE KARTE HAI, KISI SAAF SI SHASIYAT KE LIYE, AAJ MAI ISE USE KARUNGI BACHHO KE MANN KE BAARE ME KUCH KEHNE E LIYE...........KEHTE HAI KI BACHHE HOTE HAI MANN KE SACCHE, PAR AVSOS IS BAAT KA HAI, KI AAJ KA VATAVARAN, HAMARI LIFE STYLE, OR AASPASS KI SOCIETY BAHUT ALAG MAAHOL DE RAHI HAI IN BACCHHO KO, YE AAB VO BACCHHE NAHI RAHE JO, HAMESHA SACH HI BOLE, HAMESHA ANJAANE ME KOI BAAT KAHE, AAJ NEWS ME KABHI KHABAR AATI HAI KI SCHOOL ME KISI BACHHE NE APNE HI KIDNAP KI KAHAANI RACH DALI, TO KAHI SUNNE KO AATA HAI KI KISI STUDENT NE APNE DOST KO JAAN SE MAAR DALA, KAHI KOI DRUGS KA BUSINESS DESH KE NAAMI GIRAAMI SCHOOLS KO APNE SWARTH KE AAGE JHUKNE KO MAJBOOR KAR RAHA HAI, ............OR SABSE BADI BAAT TO YE HAI KI HAMARE TEACHERS BHI AAJ SIRF APNE PROFFESION KO HI TAVAZZO DENE LAGE HAI, VAHI PARENTS BHI ISI TARAH KA VYAVHAAR APNAANE LAGE HAI,
BACCHE KYA KARE VO TO KAHI NA KAHI MAN KE SACHHE HI THE, PAR UNKO BHI IS SAMAAJ RUPI HAIVAAN NE NAHI BAKSHA, KABI KOI FRIENDS KI KAARAN BIGAD JAATA HAI, TO KOI PADHAI ME SAFAL NA HONE KE KAARAN APNI SHAKSIYAT SE HAAT DHO BAITHTA HAI, .........KYA HAMAARI GOVRNMENT NE SAHI TARAH KI ENVIRONMENT DI HAI SCHOOL KO, YA KYA HAMAARI SHIKSHA PRANAALI SAHI HAI, PRAYAAPT HAI, SUDHAAR KE LIYE,
JARUURAT HAI AAJ  HAMAARI SARKAAR, MATA PITA, TEACHER'S AADI ADDI SABHI KO EK JUT HO KAR INN SABHI TAREH KI PROBLEMS SE JUUJHNE KI, AUR JARUT HAI SAHI SHIKSHA PRANAALI LANE KI, TAAKI BACCHHE BATAK NA SAKE AAPNE BACHPAN KO KHO NA SAKE, SHAYAD NA PAD PAANE KE KAARAN, OR SAAHI MAAHOL NA MIL PAANE KE KAARAN, OR SAHI FRIEND CIRCLE NA HONE KE KAARA N AAJ KA KISHOR, AAJ KA YUVA APNE PATH SE BATAK RAHAA HAI, OR SAHI TAREH SE UNKO NAA SAMAJHNE KE KAARAN HUM UNKO SIRF PROOFESSIONALY STRONG KAR PAA RAHE HAI, LEKIN ZINDGI KI DAUD ME VE APNE SAHI MUKAAM KO HAASIL NAHI KAR PAA RAHE.......
SHAYAD ISSI LIYE KAHA JAATA HAI KI BACHHE KA MANN KORA KAAGAZ HAI, “IS PAR JO CHAHO LIKHA JA SAKTA HAI”