zarur padhiyega ye poem


(Guest)

1.  humein izhar karna na aaya,
unhein pyaar karna na aaya.
hum bus dekhte hi reh gaye,
aur waqt ko thamana na aaya.
woh chalte chalte itne door chale gaye,
hamein rokna bhi na aaya.
hamne unka naam liya phir bhi,
shayad unhein sunna na aaya.
hamare taqdeer mein unki mohabbat
thi hi nahi
unke dil mein hamari chahat
thi hi nahi.
unki muskurahat ko hum,
pyaar samajh bethe
aur hamare pyaar ki koi keemat thi
hi nahi.
ab ashko ke har katre mein,
bus unka hi naam hota hain.
din raat apni mohabbat ko
yaad karna.
deewano ko aur ka kya kaam,
hota hain.

 

 

2. Vo rishta jo khafaa ho gaya,
us rishte ko me manau kaise,
pyar me toot k jo faana ho gaye,
mai unhe ab sajau kaise,
raina na beete ab un bikhre khaabo ki,
ye khaali si raaten me bitau kaise,
dard jo dil me hua un khaabo k toot ne se,
me us dard ko bata mitau kaise,
pagal h ye dil jo dhundhta h use,
ab is dil ko us dil se me milau kaise,
yaar, ye dil to nadaan h abhi shayad,
ab is nadaan dil ko bata samjhu kaise,
samjhu kaise