Wo loriyaan wo thapkiyaan

priyanshu saxena (MBL LL.B.(Hons.) CS (Professional) with 4 yrs exp as Law editor in Thakur Publishers Pvt. Ltd.)   (2653 Points)

18 April 2012  

Wo loriyaan wo thapkiyaan

 

Wo ninniyaan wo jhapkiyaan

Kitni yaad aati hain humko

phoolon pe wo titliyaan

wo maiya ka daantna

wo santi se maarna

wo ro panda jor se

wo chillana shor se

maiya ka chumkarna

baba ka thapkarna

kitna yaad aata hai humko

bhaiya ka puchkarna

wo baba ke saath me jakar gubaare ki jid karna

wo maiya ki chunri le kar hatimtai ban jana

ab jo karte yaad hai bachpan

aakhon se ansoo jharte hain

lagta hai aisa ki kyun hum

din par din aise badhte hain

har pal mera mann kehta hai

main phir bachcha ban jaun

maiya ki godi me sir rakh

chupke se phir so jaun

by: me