Waqt nahi..
Rajat Poddar
(Qualified CS and CA Finalist)
(3355 Points)
20 June 2013
A Very Beautiful poem on today's fast life... not written by me.. but thought of sharing with u all ..
WAQT NAHI
Har Khushi hai
logon ke Daaman mai,
Par ek Hansi ke liye hi
waqt nahi.
Din raat Daudti
dunya mai,
Zindagi ke liye hi
waqt nahi.
Maa ki loree ka
ehsaas to hai,
Par maa ko maa kehne
ka waqt nahi.
Saare rishton ko to
HUM Maar chuke,
Ab unhe Dafnane ka
bhi waqt nahi.
Saare naam
mobile may hain,
par dost ke liye
waqt nahi.
Ghairon ki kya
baat karen,
Jab Apno ke liye hi
waqt nahi.
Aankhon mai hai
neend badi,
Par Sone ka hi
waqt nahi.
Dil hai Ghumaan
se bhara hua,
Par roney ka bhi
waqt nahi.
Paison ki Daud mai
aise Daude ki,
Thakne ka bhi
waqt nahi.
Paraaye Ehsaason ki
kya Qadr karen,
Jab apne sapno
ke liye hi waqt nahi.
Tu hi Bata?
Aye ZINDAGI,
is ZINDAGI
ka kya hoga
Ki har pal
Marne Waalon ko,
Jeene ke liye bhi
WAQT nahi !!!!!