Assistant Manager-Service Tax
1733 Points
Joined June 2010
Guru ka mahetv kabhi hoga na kum,
Bhale kar le kitni bhi unnati hum,
Waise to hai internet pe har prakaar ka
gyaan,
Par ache bure ki nahi hai use pehchaan . Nahin hain shabd kaise karoon
dhanyavaad,
Bas chahiye har pal aap sabka
aashirvaad,
Hoon jahan aaj mai usme hain bada
yogdaan, Aap sabka jinhone diya mujhe itna
gyaan. Aapne banaya hai mujhe is yogya,
Ki praapt karoon mai apna lakshya,
Diya hai har samay aapne sahaara ,
Jab bhi laga mujhe ki mai haara. Par main hoon kitna matlabi,
Yaad kiya na maine aapko kabhi,
Aaj karta hoon dil se aap sab ka
sammaan,
Aap sab ko hai mera shat shat pranaam. HAPPY TEACHER'S DAY !