kal ka jo manjar tha, who humne bhi nhi socha tha,
hum toh is taraha khush the jaise pathar ka hai humara jigar..
Iss baat ka andaza na tha ki woh sapne jo raaton mein humara dil behlate hain,
Din ke ujale mein aksar toot jate hain or har pal rulate hain..
Hum toh oron ke jalte aashiyan par haath senkne ki aarzoo liye baithe the,
Par jaalim aag se uthta dhuan bhi humein ganwara naa hua..
Iss aag k dariya mein koi toofan sa aaya,
Or hum is kadar sulag gaye ki ab raakh se bhi darr lagta hai..
Who jo sikandar the, duniya ki nazar mein, who toh kuchh kar naa sake,
Or hum ab bhi ye armaan liye baithe hain ki , hum duniya jeet lenge..
Jubki mujhko bhi ye khabar hai ki ye aasan nahi hai dagar,
Par is baat se bhi rubaroo hai dil ki, iss sapne ke bagair humari bhi koi aukat nhi..