Prabhu chale CA karne

sonia (c.a) (446 Points)

23 August 2007  
HAMARA EK DOST 7-8 BAR C.A. FINAL DENE PAR BHI JA B PASS NAHI HUA TO
USANE BHAGWAN SHANKAR KI TAPASYA SHURU KAR DI
>
>  Hey ! Prabhu tum jag ke swami ho,
>
>  Is yug mein anteryaami ho,
>
>  Ek ungli par prithvi utha sakte ho,
>
>  Ek netra khulane par pralaya la sakte ho,
>
>  Par ek kam hai jo tum nahi kar sakte,
>
>  Kitna bhi chaho par C.A. pass nahi kar sakte.
>
>
> PRABHU BOLE
>
>  Yah asur kon hai, is atyachari ka kya naam hai,
>
>  Itna to batao ki C.A. kis chidiyan ka naam hai.
>
>
> DOST BOLA
>
>  Kosata hoon usako jisane bazar banaya,
>
>  Len-den ke liye Rupiya chalaya,
>
>  Sahukaar jise munshi kahkar rakha karte hai,
>
>  Padhe-likhe Munshi ko hi log C.A. kaha karte hai.
>
>
>  1947 mein desh aazad hua to logon ne vo din khushi se manaya,
>
>  1948 mein Gandhiji chale gaye to hamne shok manaya,
>
>  par aane wale sal mein ek bada bhuchal aaya,
>
>  1949 mein jab C.A. Regulatio n Act aaya.
>
>
>  Bas tabhi se shuru hui yah kahani hai,
>
>  Har student ki aankhon mein pani hai,
>
>  Intelligence patience isake upchar hai,
>
> Kya aapka yah pariksha aajmane ka vichar hai.
>
>
>
>
> PRABHU BOLE THIK HAI MEIN C.A. KARKE DEKHUNGA AUR ARTICLESHIP KARNE KE
LIYE
> PWC PAHUNCH GAYE.
>
>
>  PWC ka darwaza khatkhataya,
>
>  Ander se kisi ne aawaz dekar bulaya,
>
>  102,103 saath mein laye ho,
>
>  trishul aur damru liye kya nautanki karne aaye ho.
>
>
>  Dusare din Prabhu ki aankhon mein aansu aaye,
>
> Jab apne bade-bade bal katwaye,
>
>  Tisari aankh ko chhupa liya tha,
>
>  Ab to pant aur shirt bhi sila liya tha.
>
>
>  Bina tie ke baat nahi jami thi,
>
>  Haath mein bag ki kami thi,
>
>  Pahle thode critical lagte the,
>
>  Ab PWC ke article lagte the.
>
>
>  Jis haath mein trishul rahta tha,
>
>  Us haath mein p en lal tha,
>
>  Audit par voucher aur file dekhkar,
>
>  shivji ka bura hal tha.
>
>
>
> PRABHU BOLE
>  Vatsa ek baat batao yah Sunday kya hota hai,
>
>  Log us din bade majhe karte hai jab Sunday hota hai,
>
>  To matlab 6 din ke bad kal hum bhi majhe karenge,
>
>  Nahi Prabhu aaj baithkar aap kal ki CC ki taiyaari karenge.
>
>
> Bhagwan ne class karne ki sochi aur Zaware join kar li
>
>
>  Zaware join kar li hai,
>
>  Kal Ganphule bhi karna hai,
>
>  Exam pas aa rahe hai,
>
>  Padhai bhi shuru karna hai.
>
>
>  Din bitate gaye sabse bada mahina aa gaya,
>  October mein kam karke Shivji ko pasina aa gaya.
>
>
> PRABHU KHUD SE BOLE
>
>  Hey Bhagwan itna kam Kailash par bhi kabhi nahi kiya,
>
>  Kya paap kiya tha meine jo mujhe yaha la diya,
>
>
> DOST BOLA
>
> Abhi to aapko Inter Pass karna hai,
>
>  Khud ko to FINAL mein khub yaad karna hai.
>
>
> 3 Mahine Shivji ne khub padhai ki, Inter pass hone par hamare dost ne
unhe
> badhai di
>
> BHAGWAN BOLE
>
>  Yah to bada aasan kam tha,
>
>  Kya C.A. is chidhiya ka naam tha.
>
>
> DOST BOLA
>
>  Inter to pinzare ka naam hai,
>
>  Jisme Panchhi phas jata hai,
>
>  Andhar padhe Apple ko dekhkar,
>
>  Sada ke liye Dhans jata hai.
>
>
> SHIVJI NE I.T. KARNE KI SOCHI
>
>  Shivji ko I.T. karne ka shouk chada,
>
>  Apply karne chal padhe,
>
>  Chhan liye the har daftar,
>
>  Har bank dekh liye bade-bade.
>
>
>  Yahi to daulat ki maya hai,
>
> Jisane CITI BANK ka deewana banaya hai,
>
>  Shivji ki kismet bhi chal padi,
>
>  10000 Rs. dekhkar bole apni to nikal padhi.
>
>  FINAL ka course dekhkar Prabhu Hairaan huye,
>
>  Kab padunga yah sochkar pareshan huye,
>
>  Dost bola yah to bas shuruwat hai,
>  Isi soch mein bitegi aapki har raat hai.
>
>
>  Pahle paper ki raat thi,
> Badi pareshani ki baat thi
>
>  Chinta dikh rahi thi Prabhu ke chehare par,
>
> Soch rahe the kuchh bat rah-rah kar.
>
>
>
>
> APNE MURT (ORIGINAL) ROOP MEIN AAKAR PRABHU BOLE
>
>
>  Khush hoon mein tumhari mehnat dekhkar,
>
>  Achraj hai mujhe tumhara patience dekhkar,
>
>  Mehnat yunhi pani ho jaye to dukh hota hai,
>
>  Insaan ho tum tumhara bhi man rota hai
>
>
>  Par waqt par bharosa rakh tub hi pass hoga,
>
>  Kal har C.A. student ka aur mera saath hoga,
>
>  Is bar taiyaari aur jor se kar, mujhe phir bulana hai,
>
>  Apna khud ka office tujhe mujhase hi khulvana hai