HAMARA EK DOST 7-8 BAR C.A. FINAL DENE PAR BHI JAB PASS NAHI HUA TO USANE BHAGWAN SHANKAR KI TAPASYA SHURU KAR DI
Hey ! Prabhu tum jag ke swami ho,
Is yug mein anteryaami ho,
Ek ungli par prithvi utha sakte ho,
Ek netra khulane par pralaya la sakte ho,
Par ek kam hai jo tum nahi kar sakte,
Kitna bhi chaho par C.A. pass nahi kar sakte.
PRABHU BOLE
Yah aasur kon hai, is atyachari ka kya naam hai,
Itna to batao ki C.A. kis chidiyan ka naam hai.
DOST BOLA
Kosata hoon usako jisane bazar banaya,
Len-den ke liye Rupiya chalaya,
Sahukaar jise munshi kahkar rakha karte hai,
Padhe-likhe Munshi ko hi log C.A. kaha karte hai.
1947 mein desh aazad hua to logon ne vo din khushi se manaya,
1948 mein Gandhiji chale gaye to hamne shok manaya,
par aane wale sal mein ek bada bhuchal aaya,
1949 mein jab C.A. Regulation Act aaya.
Bas tabhi se shuru hui yah kahani hai,
Har student ki aankhon mein pani hai,
Intelligence & patience isake upchar hai,
Kya aapka yah pariksha aajmane ka vichar hai.
PRABHU BOLE THIK HAI MEIN C.A. KARKE DEKHUNGA AUR ARTICLESHIP KARNE KE LIYE PWC PAHUNCH GAYE.
PWC ka darwaza khatkhataya,
Ander se kisi ne aawaz dekar bulaya,
102,103 saath mein laye ho,
trishul aur damru liye kya nautanki karne aaye ho.
Dusare din Prabhu ki aankhon mein aansu aaye,
Jab apne bade-bade bal katwaye,
Tisari aankh ko chhupa liya tha,
Ab to pant aur shirt bhi sila liya tha.
Bina tie ke baat nahi jami thi,
Haath mein bag ki kami thi,
Pahle thode critical lagte the,
Ab PWC ke article lagte the.
Jis haath mein trishul rahta tha,
Us haath mein pen lal tha,
Audit par voucher aur file dekhkar,
shivji ka bura hal tha.
PRABHU BOLE
Vatsa ek baat batao yah Sunday kya hota hai,
Log us din bade majhe karte hai jab Sunday hota hai,
To matlab 6 din ke bad kal hum bhi majhe karenge,
Nahi Prabhu aaj baithkar aap kal ki CC ki taiyaari karenge.
Bhagwan ne class karne ki sochi aur J. K. Shah join kar li
J. K. Shah join kar li hai,
Kal Sukhsagar bhi karna hai,
Exam pas aa rahe hai,
Padhai bhi shuru karna hai.
Din bitate gaye sabse bada mahina aa gaya,
October mein kam karke Shivji ko pasina aa gaya.
PRABHU KHUD SE BOLE
Hey Bhagwan itna kam Kailash par bhi kabhi nahi kiya,
Kya paap kiya tha meine jo mujhe yaha la diya,
DOST BOLA
Abhi to aapko Inter Pass karna hai,
Khud ko to FINAL mein khub yaad karna hai.
3 Mahine Shivaji ne khub padhai ki, Inter pass hone par hamare dost ne unhe badhai di
BHAGWAN BOLE
Yah to bada aasan kam tha,
Kya C.A. is chidhiya ka naam tha.
DOST BOLA
Inter to pinzare ka naam hai,
Jisme Panchhi phas jata hai,
Andhar padhe Apple ko dekhkar,
Sada ke liye Dhans jata hai.
SHIVJI NE I.T. KARNE KI SOCHI
Shivji ko I.T. karne ka shouk chada,
Apply karne chal padhe,
Chhan liye the har daftar,
Har bank dekh liye bade-bade.
Yahi to daulat ki maya hai,
Jisane CITI BANK ka deewana banaya hai,
Shivji ki kismet bhi chal padi,
10000 Rs. dekhkar bole apni to nikal padhi.
FINAL ka course dekhkar Prabhu Hairaan huye,
Kab padunga yah sochkar pareshan huye,
Dost bola yah to bas shuruwat hai,
Isi soch mein bitegi aapki har raat hai.
Pahle paper ki raat thi,
Badi pareshani ki baat thi
Chinta dikh rahi thi Prabhu ke chehare par,
Soch rahe the kuchh bat rah-rah kar.
APNE MURT (ORIGINAL) ROOP MEIN AAKAR PRABHU BOLE
Khush hoon mein tumhari mehnat dekhkar,
Achraj hai mujhe tumhara patience dekhkar,
Mehnat yunhi pani ho jaye to dukh hota hai,
Insaan ho tum tumhara bhi man rota hai
Par waqt par bharosa rakh tub hi pass hoga,
Kal har C.A. student ka aur mera saath hoga,
Is bar taiyaari aur jor se kar, mujhe phir bulana hai,
Apna khud ka office tujhe mujhase hi khulvana hai.
PRABHU ( BHAGWAN SHANKAR ) CHALE C.A. KARNE
Mohd Javed Khan (CA FINAL) (622 Points)
04 March 2010