poem of success


(Guest)

Ho Chuka Hona Tha Jo Bhi , Ho Chuka ,
Mil Chuka Milna Tha Jo Bhi , Mil Chuka ,
Harta Hi Rahaa main , Aab Magar ,
Maan Vijay Karne Chala .

Wakt Ki Thoker Lagi Hai ,
Rahaa Gayaa Piche Bahut Mein ,
Thak Gayaa Mein Bhi Bahut Per ,
Wakt Ke Sang Mein Bhi Chala ,
Maan Vijay Karne Chala .

Pehchanana Mushkil Hain ,
Kya Sahi Aur Kya Galat ,
Path Nayaa ,Saathi Naye , Main Wohi Par ,
Haan Chupaa Ke Khud Ko Khud Main ,
Haan Daaba Ke Khud Ko Main ,
Dastur-e-Janha Ke Sang Chala .
Maan Vijay Kerne Chala .

Ud Rahaa Hai Tufaan Maan Main ,
Hun Abhi MajhDhaar Main ,
Fir Kinaare Ko Chala ,
Maan Vijay Kerne Chala .

Bhul Beitha Apna Sapna ,
Bhul Beitha Apna Sab Kuch ,
Apne Liye Mein Kuch Nahi ,
Apno Ke Liye Kuch Kerne Chala .
Maan Vijay Kerne Chala .

Dekh Ker Dang Hun ,
Tute Phoolon Ka Kuch Astitav Hi Nahi ,
Tut Ker Patti Bhi Mitti Mein Mile ,
Daar Gayaa Mein Dekh Ker Anant Inka ,
Ab Magar Mein Shaakh Banne Chala ,
Maan Vijay Karne Chalaa .

Kya Kahun Kisse Kahun ,
Koun Samjhega Mujhe ,
Har Kisi Ki Uljhane Hai ,
Har Kisi Ki Jindagi Hai ,
Sabko Apni Hi Padi Hai ,
Mein Bhi Kuch Apni Kerne Chala ,
Maan Vijay Kerne Chala .