Main jab ek bachcha tha,
aankho main sapne rakhta tha,
aasman k taro ko chune ki khwahish rakhta tha.
Maine ma se kaha, WO sab se chamakta Tara,
use aasaman se tod launga,
aur us tare ko main apni manzil samajhta tha.
Ma se kaha, main apni manzil ki aur ja raha hun,
dosto se kaha, himmat dena jab main thak jaun,
sab ne kaha, aisa pagalpan to wo chal-chitra ka nayak karta tha.
Sab ne kaha, rah bhatak gaya hai tu,
ek mamuli insaan ki had se aage badh gaya hai tu,
kar tu wahi jo kal tak tu karta tha.
aab main sab ki tarah samajdar ho gaya hun,
aane wali pidhi maan rahi hai mujhe aadarsh,
kar rahi hai wahi jo main kal tak karta tha.
aab salo beet gaye hai sapne bhi nahi aate,
aanjan se ek manzil pe aake ruka hun,
Aasman se tim tim kar tare se pucha, kya tu mujhko tarasata tha?
Tare ne kaha, main to teri hi manzil tha,
tera hath kab badhe meri aur uski rah main takta tha.
bachcha tha to achcha, sapne dekhne ki himmat to karta tha.