Papa Anna Daddy Abba Unka Ek naam nhi hai
Beshak Dharti hai Maa to Baap aasmaan shi hai
hum bachchon ko kitna pyar diya
apni khusiyon ko bhi hum pe nisar kiya
khud adad ek cheez nhi li
hamare liye naya jahan basaya hai
khud niwala bhi nhi khaya shayad
apne haathon se kaura hume khilaya hai
jigar ka tukda bana diya humko
kitna pyara bana diya humko
hume to kuch maloom nhi tha
hare ek zarre se rubru kara diya humko
unhone Kandhe pe baitha ke ghumaya hai
Roye to Har baar bahar le ja ke behlaya hai
Apni godi me liye kayi raat bitayi hai
Bahar ki duniya me Kya shi hai kya galat, ye baat sikhyi hai
Beshak maa pehli paathshala hai
Par daddy ne har kadam pe hume sambhala hai
Jab kabhi bhi humne kahin haar dekhi hai
to maa to aansoon se roti hai
par papa kabhi saamne nhi rote hain
hamare saamne ek nayi urja bote hain
apne lafzon me bus itna kehte hain
ki utho mere bachche aise bachchon ki tarah nhi rote hain
“apni haar ko haar samjhoge to kuch nhi kar paoge
jb ise apna loge to har jeet ko jeet jaaoge
bete hamesha bus apni manzil se itefaaq rakhna
aur tum kya the bus ye vajood yaad rakhna”