Motivation available here..

Darshan Gohil (FINAL) (77 Points)

19 January 2014  
Poem by Mohit Grover: For those who could not make it this time.... ''TU KYU ROTA HAI ? '' khatam nahi hui zindagi teri tu kyu rota hai ? aisa na soch ye sab tere sath hi kyu hota hai nahi hui hai teri jeet tu hi zimmedaar par hasne dey unko jo haste hai teri haar par har haar ko bana seedhi aur chal dey manzil ki aur haan is life ko ab tujhse chahiye more apne aap se kar waada ab mehnat karega zaada tujhe unhe hai dikhana jo marte hai tujhe taana tu kar mehnat..kama daulat aur kar fir chahe aish jab tak chod dey tu aalas ki ye latt dil ka kya wo to karega dhak dhak par dil ka gulaam tu banega kab tak shok hai jo tere bad mein karlio pure par usse pehle tere bhot kam pade hai adhure nikal gaye hai aage wo jo tere yaar mat ro unke peeche do gaye hai bad mei banjayengey naye char kuch na ban agar ban paya tu to kya dosti ka dalega achaar ? apni kismat ko tu mat koss bass bhot karliaa afsoss bure din aaye hai ache bhi ayengey ofcourse khud se mat ho naraz apni ander ki sun awaz aur kuch jaa aisaa ki puri dunia ko ho tjpe naaz puri kar wo jo kammi reh gyi thi baki ek bar fir nirash hona na pade taki pura kar wo jo dekha tha tune sapna badi gadi pesa shandar ghar ho apna kuch nahi milta id dunia mei asani se kuch nahi milta yaha man ki manmani se ek din aisa ayega tu jashn manayega apne naam k aage jab tu CA likha payega apni mehnat k bal pe tu dunia pe chha jayega bass khud par kar bharosa har sapna sach hota jayega !y