Mom dad ka paigam

Onam Gupta (SAVE WATER SAVE LIFE) (1816 Points)

16 December 2011  

Please read with heart..

1. jis din tum hume budha dekho tab..

sabr karna aur hume samajhne ki koshish karna

 

2.jab hum koi baat bhool jaye toh..

hum par gussa na krna aur apna bachpan yaad karna

 

3. jab hum budhe hokr chal na paye toh..

humara sahara banna aur apna pehla qadam yaad karna

 

4. jab hum beemar ho jaye toh..

woh din yaad krke hum par paise kharch krna jab hum tumhari khwaishein puri krne ke liye apni khwaishein qurban karte the.