Main zindagi ka sath nibhata chala gaya

Nipun sikri (Jee lenge yaar) (91 Points)

10 February 2012  

CA Chodne se pehle ek baar zarur sochna k agar chhodni hi thi to yaha tak jaari kyun rakha.Aur jab lage k baat me kuch dam hai to fir sochna k raaste par chale to manzil tak to pahunch hi jaenge.

Bhigte rahe baarisho me aksar

Mangi kabhi kisi se panah nhi

Sapne poore ho ya na ho

Khwab dekhna to koi Gunaah nhi.

Apne liye nhi to apne maa paa k liye hi sahi.

Main Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Udata Chala Gaya
 

Barbadiyon Ka Shok Manana Fizul Tha
Barbadiyon Ka Jashan Manata Chala Gaya
Main Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Udata Chala Gaya


Jo Mil Gaya Usi Ko Muqaddar Samajh Liya
Jo Kho Gaya Maein Usko Bhulata Chala Gaya
Main Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Udata Chala Gaya


Gham Aur Khushi Mein Farq Na Mehsoos Ho Jahan
Main Dil Ko Us Muqaam Pe Laata Chala Gaya
Main Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Udata Chala Gaya