Ye baat mere chote se shehar Rohtak ki h. Pata nhi baki jagahon par kya aalam tha. |
Kuch to karna hoga |
Sab khush h k bharat vishwa vijeta bana.Mujhe bhi khushi h par kya isse kuch badlav aayega.Usi par pesh h ek kavita.
Holi diwali sab thi manali
Cigrette daru bhi thi chadali
Charon taraf harsh o ulaas tha
Fir bhi na jane kyu dil ye udaas tha
Puchi maine usse wajah is udaasi ki
Wajah nikli wahi purani aur basi si
Is jeet ko lekar sabhi bahut prasann h
Par asli bharat ki tasveer par sabhi sann h
Kyu machta har choti baat par bawal h
Isi silsile me nipun puchta aapse kuch sawal h
Kya kabhi un majdooro ko bhi chai pe bulaya jaega
Jinki wajah se bharat banta aya h aur banta chala jaega
Kya 1 crore ka 1 croreva hissa bhi us kisan ko mil paega
Jisne bhookh mitayi h sabki aura age bhi mitaega
Kya raja jaise mantra 2G scam karne se pehle sochenge
Kya fir rathod jaise aalakamaan masoom bachion ko nhi nochenge
Desh ki sakh dav par lagane wale kalmadi paida hone band honge
Ya modi wale ghaplo se bharat hi band honge
Kya anna jaise log janchaha badlav la payenge
Ya shasan hathiyaye log manchaha hi karte jaenge
Kya gali me ladne wale gundo ko koi samjhayega
K wo desh k liye lade to shahid kehlaega
Kya fir kbhi hindu muslim dange nhi honge
1984 ki tarah log fir se nange nhi honge
Kabhi apni izzat ki chhod k,dusre ki izzat k liye bhi lad payenge
Kya sone ki chidia k wo swarn par fir se ug jayenge
Bhagat singh ki kalpana jaisa bharat kya kbhi banega
Jahan ek Hindustani doosre se nhi doosre k liye ladega
Kya unch neech ka fark kabhi yahan khatm hoga
Ya 21-12-12 ko sari dunia k sath bharat bhi bhasm hoga
Is 121 crore aabadi k liye kya koi aur bhagwan utar k ayega
Ya chuni gyi sarkar aur uska andha kanoon hi is desh ka bhavishya banaega
Kya is kavita ko padne k baad aapme kuch badlav aayega
Ya yahi sochenge k ye to pagal h bolta hi jaega
Kya bharat ka ye yuva, bharat ko sarvshreshtha banaega
Ya desh k sudhar k liye doosro se hi umeede karta jaega
Kya use samajh kabhi apna uttardayitva bhi aayega
Ya doosro ko gali dekar hi wo apna kaam chalaega
Bachpan me suna tha akela chana bhaad nhi fod sakta
Aur yahi soch k aaj koi shuruat nhi krta
Par sagar to boond-boond se hi bharta h
Ye kyu tu nhi samajhta
Meri samjh me ek baat h aayi
Akele se bahut kuch hota h bhai
Ab se main har galat ka virodh karunga
Aur aap bhi samjhe ye baat ye umeed karunga
Main nhi chahta k is kavita se aapki khushi me kami ho
Par kuch khushi unke sath bhi baanto jinki aankho me salo se nami ho