Khoobsurati of life.........a poem....

Deepak Dargad (Chartered Accountant....)   (9787 Points)

24 June 2013  

I Want Share one Poem With You All .................I lyk So Much this Poem which is Second Poem of my friend......

 

...KHOOBSURATI...

 

Khoobsurati Suraj ki pehli kiran mein hai, to

Parindo ki unchi udaan mein hai……

                   Rang birange phulon ke bagicho mein hai, to

                   Phulon ko aakarsh*t titliyon mein hai……

 

 

Khoobsurati hawaao mein bikhri khushbuo mein hai, to

Khushbuo mein chipe kisi ke ehsaas mein hai……

                  Chote bachcho ke komal sparsh mein hai, to

                  Bujurgo ki mithi duwaao mein hai……

 

 

 

Khoobsurati barish ki pehli boond mein hai, to

Bachcho ki kagaj ki Kashtiyon mein hai……

                Akele mein khud ko sarhane mein hai, to

                   Bewajah muskurane mein hai……

Khoobsurati kisi ki yaadon mein doob jane mein hai, to

Kisi ke achanak hi mil jane mein hai……

                   Doston se bina puche unke sath chalne mein hai, to

                    Bina manzil ke lambe raaston mein hai……

 

 

Khoobsurati har kisi ko khush rakhne ki koshisho mein hai, to

Khud khush rehne mein hai……

                    Zindgi ke har pehlu ko pyar se samjhne mein hai, to

                      Usse har roj kuch naya pane mein hai……

 

 

 

“Khoobsurati humse judi har ek baat mein hai,to

Aaj ko bharpur jee lene mein or kal ki aas mein hai”……

 

                                                                                                       -----Ekta Garg

 

 

 

 

 

 

 

Give Feedback.......If You Lyk