Kathputli....an awesome story...must read once

CA Pallav Singhania (IT System Auditor) (33362 Points)

26 November 2011  

 

Ek badhai(carpenter) tha.....Nirmaan..

Nirmaan ke haato me jaadu tha wo jo bhi Kathputli( Wooden Toy ) banata wo jinda ho jata...

Uski banai hui kathputliya ek chote se gao mein rehti.....jiska nama tha Pritvi Nagar..

har Kathputli ek dusre se alag hoti thi...kisi ki aakhe badi...kisi ke daat bade...koi lamba...koi chota..

koi coat pehenta koi sirf hats pehenta...

Har din Kathputliya same kam karti..

har Kathputli ke paas 2 box hote jisme Stickers rehte thay...

wo ek dusre ko stickers lagate rehte thay....ek box main STAR sticker and ek box main DOTs Stickers hote thay.

JO kathputli ka wood sundar dikhne me hota..ya uska rang bilkul pehle ki tarah acha hota usse Star Stickers lagate..

wahi jiski wood purani and rang utarne lagta usse DOTs wali sticker lagate...

JO talented hota usse bhi STAR sticker lagate...koi kalabaji dikhata usse bhi Star Stickers milti..

 

 

Unhi me se ek Kathputli tha...Punchi..

Wo bhi dusro ki tarah uchalne ki kosis karta lakin gir jata....and log jama ho jate aur usse DOTs wali Sticker 

laga dete...

Kabhi kabhi girne se uska wooden body main scratches pad jate...and fir usse DOTs milte logo se...

wo batane ki kosis karta ki kis karan wo gira...magar uski baato ko dusre kathputli majak samajhte aur usse aur DOTs wali Sticket laga dete..

 

Kuch samay baad uske upar itne sare DOTs wale sticker ho gaye ko wo ghar se bahar nahi jata...usse lagta ki wo bahar jayega aur kisi na kisi karan koi uspe DOTs wali sticker laga dega...usse lagta wo jo bhi bolega wo sab majak samjhenge...

 

Itne sare DOTs ki stickers lagi hui thi uspe ki log bina wajah usspe DOTs ki sticker laga dete..

 

Dusre Kathputliya apas mein kehti ki Punchi pe itne sare DOTs lage hue hai...wo ek acha kathputli nahi hai....Dhire dhire Punchi ko bhi yahi lagne laga...aur wo gao chor ke bhag gaya...

 

Raste me usse ek Kathputli mili  (Luci) jispe koi bhi Sticker nahi tha...na toh STARs na toh DOTs...

ye dekh kar Punchi hairan ho gaya......

Luci pe koi bhi sticker nahi tha...isi liye koi agar uspe DOTs wala lagata toh wo sticker uspe chipakta hi nahi...and waise hi Stars wala sticker bhi..nahi..

 

Usne Luci se poocha aisa kyu hai??

Luci ne kaha kyuki main nahi chahti ki KOI mujhe Stars wali stickers lagaye...isi liye mujhe DOTs wali bhi nahi lagti..

and main daily Nirmaan ke saath rehti hoon...

 

Punchi ne kaha Kaun Nirmaan.???

Lucia ne bataya....wahi jisne humme banaya hai...and wo gao ke bahar ek bade ghar me rehta hai...tum usse milo fir sab thik ho jayega!!!

Punchi wapas apne ghar aa gaya...wo sochne laga Luci ne jo bhi kaha wo kabhi sach ho sakta hai kya??

fir ussne socha ek bar Nirmaan se milna chahiye...

 

Punchi NIrmaan ke ghar ke andar gaya..waha dekha itna bada ghar itne bade bade kursiya(chairs)...and ye dekh kar wo dar gaya and wapas jane laga...

 

Achanak piche se awaj aayi...Punchi kaha ja rahe ho...??

Punchi ne dekha Nirmaan usse awaaj de rahe thay....Punchi ne kaha apko mera naam kaise pata?

Nirmaan : Maine hi toh tumhe banaya hai...mujhe toh pata hoga hi.....aao mere paas betho..

 

Nirmaan ne kaha Punchi se..."lagta hai tumhe bahut sare DOTs mark mile hai"

Punchi ne kaha...main kosis bahut karta hoon pata nahi fir bhi aisa mere saath kyu hota hai?

Nirmaan : tumhe koi jaroorat nahi kuch kehne ki main samjhta hoon tumhari sari baat.....Mujhe koi farak nahi parta dusre kathputliya tumhare bare main kya sochti hai..

Wo bhi toh tumhari tarah kathputliya hi hai....unhe koi haq nahi banta kisi ko stars ya dots dene ka...

wo tumhare bare me kya sachte hai isse koi fark nahi parta...

Main tumhare bare main kya sochta hoon isse farak parta hai...

Meri nazar main tum bahut Special ho Punchi..

 

Punchi bahut khush ho gaya....and Nirmaan se kehne laga...main uchal nahi pata...tej dor nahi pata...mera rang bhi utar gaya hai....fir bhi aap mujhe special ke rahe hai??

Nirmaan ne Punchi se kaha kyuki.."Tum mere ho...mene tumhe banaya hai"

Main hardin sochta tha ki kab Punchi ayega magar tum aate hi nahi thay mere paas...Nirmaan ne kaha"

Punchi : Main Luci se mila Jispar koi bhi sticker nahi hai...ussi ne bataya tab main aaya..magar uspar koi bhi sticker kyu nahi lagta??

 

Nirmaan: kyuki main uske bare main kya sochta hoon uske liye ye jada important hai....dusre log kya socte hai ye nahi...

Sticker tabhi lagega agar wo kya sochte hai tumhare bare main tum usse maano...samjhe Punchi...

 

 

Punchi bahar jaane laga...magar uske dil ne jaise ye socha ki Haan Nirmaan ki baat sahi hai...ek DOTs sticker niche gir gaya...

 

 

 

 

YOU ARE SPECIAL!!!