KAMCHOR ARTICLE AND EMPLOYEES

M. N. JHA (CA) (8316 Points)

26 March 2011  

Hey PARTH,

Increment nahin mila, bura hua

Salary cut ho raha hai, bura ho raha hai

Retrenchment hoga, wo bhi bura hi hoga...

Tum pichhla review na hone ka pashchataap na karo

Tum agla review na hone ki chinta na karo

Recession chal raha hai...

Tumhari pocket se kya gaya jo tum rotey ho ?

Tum company ke liye kya business laaye thhey jo tumne kho diya ?

Tumne aisa kaun sa product banaya tha jo fail ho gaya ?

Tum koi experience le kar nahin aaye thhey

Jo experience liya company se liya...

Jo project kiya company ka liya...

Degree le kar aaye, experience lekar chale jaaoge...

Jo function aaj tumhara hai,

Wo kal kisi aur ka tha... parso kisi aur ka hoga...

Tum ise apna samajh kar kyon magan ho rahe ho

Hey Paarth, Yehi khushi tumhari tension ka kaaran hai...

Kyon vyarth tension lete ho, kis se vyarth darte ho

Kaun tumhein nikaal sakta hai ?

Policy change to company ka rule hai

Jisey tum policy change kehte ho, woh to Management ki trick hai...

Ek pal mein tum Increment ke baare mein sochte ho Doosre hi pal mein

tum stipend par aa jaate ho... Review, increment etc. etc. sab mann se hataa do

Vichar se mitaa do, phir company tumhari hai, tum company ke ho...

Na yeh increment wagerha tumhare liye hain, na tum iske qabil ho,

Parantu job secure hai, aisa socho phir tumhein tension kyon hoga ?

Tum apne aap ko Company ko arpit kar do

Yehi sabse badaa Golden Rule hai...

Jo iss Golden Rule ko jaanta hai

Wo review, incentive, recession, retrenchment aadi

bhramon se Sadaa sarvada muqt hai.

Chal UTH, Kaam Kar,


 6 Replies