Kal ka suraj ab mera hai, duniya bhi ab ye humari hai..

CA Shammi Prabhakar (Managing Director) (2076 Points)

11 June 2011  

Ek khwab tha, humne buna, bas Jaagti in aankho se

Ab Neend bhi bejaar thi, khamosh si in raaton se..

Woh khwab bhi kya khoob tha, jo le gaya meri neend ko..

Par aaj sach hone ko hai woh, bas an-ginat prayason se..

 

Woh khwab tha, kisi or ka, jise dekhti thi ye nazar

Manjil badi haseen thi , mushkil thi utni hi dagar..

Humne bhi socha kyun nhi, kuchh kaam aisa kar hi dein...

Ki log bhi bas ye kahein, tu hi hai bas yahan baazigar...

 

Fir iss manzil ki chahat mein, jane hi kitne rooth gaye

Jaane hi kitne riston ki chahat ke bandhan toot gaye..

Bas ek taraf the hum tanha, baaki sabne munh mod liya..

Woh log bhi kal pachhtayenge, kyun peeche hum yun chhoot gaye..

 

Kal ka suraj ab mera hai, duniya bhi ab ye humari hai..

Jo dekh ke mujhko hanste the kal, aaj unhi ki baari hai..

Ye waqt bada mayavi hai, koi samajh saka na maya ko,

Tum jeet sake jo khud ko toh, duniya bhi tumse haari hai..

 

Written by - Shammi Prabhakar