KAL, AAJ aur KAL..- A motivational Creation

CA Shammi Prabhakar (Managing Director) (2076 Points)

11 April 2011  

 

Jub hum chhote bachche the, jub schoolon mein padhte the..

Na toh kisi ki fikra hume thi, na hi kisi se darte the..

Chhoti chhoti si baaton pe hum, yaaron se na ladte the..

Lad bhi jaye kabhi galati se toh, yun na rutha karte the..

 

Class me pehle aate hi, hum seatein roka karte the..

Gharwaale hi sabkuch the bas, unse hi hum darte the..

 

College me jaate hi bas ek nayi si duniya humari thi..

Kal tak jo apne sab kuch the, unki jagah koi naari thi. .

Iss ajab gajab si duniya mein, hum bhool gaye the khud ko bhi..

Jub aankh khuli toh ye paaya, ye toh bas ek bimari thi..

 

Fir jeevan mein kuchh karne ki, ek aasha hum mein jaagi thi..

Hum jin sapno mein khoye the.. Woh raat bhi ab vairagi thi. .

 

Ab saathi apni kitaabein hain,

Aur girlfriend ye exam hai..

Bas kuch hi dino ka tyag hai ye,

fir aajeewan ka aaram hai..

 

par ab bhi main un lamho ko,

is dil mein piroye baitha hun..

Kuch waqt toh maine khoya hai,

yaadon ko sanjoye baitha hoon..

 

kal anjaani si duniya me jub naam humara chhayega..

Us pal ki khushiyon ki khaatir ye aaj ki jehmat kuch bhi nahi..

Maa baap ke sapno ke aage, duniya ki ye rangat kuch b nahi..

 

unki khushiyon ki khatir tum..

Kisi hadh se bhi chahe gujar jao..

Manzil bhi tumhare samne hai..

Ab waqt hai tum bhi sanwar jao..

 

Dedicated to All my Student Friends...

Author : *** Shammi***

Please Post your Comments, if it's touched ypur heart somewhere..

Thank you So Much for Giving your time...  Best Of Luck ..