Kahani champu ki
Pareshaan thi Champu ki wife ;Non-happening thi jo uski life
Champu ko na milta tha aaram; Office main karta kaam hi kaam
Champu ke boss bhi the bade cool; Promotion ko har baar jate the bhul
Par bhulte nahi the wo deadline; Kaam to karwate the roz till nine
Champu bhi banna chata tha best; Isliye to wo nahi karta tha rest
Din raat karta wo boss ki gulami; Promotion ke ummid main deta salami
Din guzre aur guzre fir saal; Bura hota gaya Champu ka haal
Champu ko ab kuch yaad na rehta tha; Galti se Biwi ko Behenji kehta tha
Aakhir ek din Champu ko samjh aaya; Aur chod di usne Promotion ki moh maya
Boss se bola, "Tum kyon satate ho ?"; "Promotion ke laddu se buddu banate ho"
"Promotion do warna chala jaunga"; "Increment dene par bhi wapis na aunga"
Boss haans ke bola "Nahi koi baat"; "Abhi aur bhi Champus hai mere paas"
"Yeh duniya Champuon se bhari hai"; "Sabko bas aage badhne ki padi hai"
"Tum na karoge to kisi aur se karunga"; "Tumhari tarah Ek aur Champu banaunga"
(WAKE UP CHAMPU)
KAHANI CHAMPU KI
Akhil Gupta (Manager F&A) (856 Points)
08 June 2010