HAMARA EK \"ROHTAK\" ke DOST se 7-8 BAR C.A. FINAL DENE PAR BHI JAB
PASS NAHI HUA TO USNE
BHAGWAN SHANKAR KI TAPASYA SHURU KAR DI
Hey ! Prabhu tum jag ke swami ho,
Is yug mein antaryaami ho,
Ek ungli par prithvi utha sakte ho,
Ek netra khulane par pralaya la sakte ho,
Par ek kam hai jo tum nahi kar sakte,
Kitna bhi chaho par C.A. pass nahi kar
sakte.
PRABHU BOLE
Yah aasur kon hai, is atyachari ka kya naam
hai,
Itna to batao ki C.A. kis chidiyan ka naam
hai.
DOST BOLA
Kosata hoon usko jisne bazar banaya,
Len-den ke liye Rupiya chalaya,
Sahukaar jise munshi kehkar rakha karte
hai,
Padhe-likhe Munshi ko hi log C.A. kaha
karte hai.
1947 mein desh aazad hua to logon ne vo
din khushi se manaya,
1948 mein Gandhiji chale gaye to hamne
shok manaya,
par aane wale sal mein ek bada bhuchal
aaya,
1949 mein jab C.A. Regulation Act aaya.
Bas tabhi se shuru hui yeh kahani hai,
Har student ki aankhon mein pani hai,
Intelligence & patience iske upchar hai,
Kya aapka yeh pariksha aajmane ka vichar
hai.
PRABHU BOLE THIK HAI MEIN C.A. KARKE DEKHUNGA AUR
ARTICLESHIP KARNE KE
LIYE
PWC PAHUNCH GAYE.
PWC ka darwaza khatkhataya,
Ander se kisi ne aawaz dekar bulaya,
102,103 saath mein laye ho,
trishul aur damru liye kya nautanki karne
aaye ho.
Dusare din Prabhu ki aankhon mein aansu
aaye,
Jab apne bade-bade bal katwaye,
Tisari aankh ko chhupa liya tha,
Ab to pant aur shirt bhi sila liya tha.
Bina tie ke baat nahi jami thi,
Haath mein bas laptop ki kami thi,
Pehle thode critical lagte the,
Ab PWC ke article lagte the.
Jis haath mein trishul rehta tha,
Us haath mein pen lal tha,
Audit mein voucher aur file dekhkar,
shivji ka bura hal tha.
PRABHU BOLE
Vatsa ek baat batao yeh Sunday kya hota
hai,
Log us din bade maze karte hain jab Sunday
hota hai,
To matlab 6 din ke bad kal hum bhi maze
karenge,
Nahi Prabhu aaj baithkar aap kal ke review ki
taiyaari karenge.
Bhagwan ne class karne ki sochi aur humaare param pujniya Ajay Jain SIR ki class join kar li
Ajay Jain join kar li hai,
Kal Sukhsagar bhi karna hai,
Exam pas aa rahe hai,
Padhna bhi shuru karna hai.
Jab Shiv ji 7.20 par aaye to SIr bole oyee gate par hi khada hoja kitne baje aa raha hai,
to shiv ji bola ye kaisa profession hai....mera bachcha hai aur mere hi sar pe naach raha hai....
Din bitate gaye sabse bada mahina aa gaya ,
October mein kam karke Shivji ko pasina aa
gaya
PRABHU KHUD SE BOLE
Hey Bhagwan itna kam Kailash par bhi kabhi
nahi kiya,
Kya paap kiya tha maine jo mujhe yaha la
diya,
DOST BOLA
Abhi to aapko Inter Pass karna hai,
Khud ko to FINAL mein khub yaad karna hai.
3 Mahine Shivaji ne khub padhai ki, Inter pass hone
par hamare dost ne unhe badhai di
BHAGWAN BOLE
Yeh to bada aasan kam tha,
Kya C.A. is chidhiya ka naam tha.
DOST BOLA
Inter to pinzare ka naam hai,
Jisme Panchhi phas jata hai,
Andhar pade Apple ko dekhkar,
Sada ke liye Dhans jata hai.
SHIVJI NE I.T. KARNE KI SOCHI
Shivji ko I.T. karne ka shouk chada,
Apply karne chal pade,
Chhan liye the har daftar,
Har bank dekh liye bade-bade.
Yahi to daulat ki maya hai,
Jisne CITI BANK ka banaya hai,
Shivji ki kismat bhi chal padi,
10000 ka stipend dekhkar bole apni to nikal
padi.
FINAL ka course dekhkar Prabhu Hairaan
huye,
Kab padunga yah sochkar pareshan huye,
Dost bola yah to bas shuruwat hai,
Isi soch mein bitegi aapki har raat hai.
Pahle paper ki raat thi,
Badi pareshani ki baat thi
Chinta dikh rahi thi Prabhu ke chehare
par,
Soch rahe the kuchh bat rah-rah kar.
APNE MURT (ORIGINAL) ROOP MEIN AAKAR PRABHU BOLE
Khush hoon mein tumhari mehnat dekhkar,
Achraj hai mujhe tumhara patience dekhkar,
Mehnat yunhi pani ho jaye to dukh hota
hai,
Insaan ho tum tumhara bhi man rota hai
Par waqt par bharosa rakh tu bhi pass
hoga,
Kal har C.A. student ka aur mera saath
hoga,
Is bar taiyaari aur jor se kar, mujhe phir
bulana hai,
Apna khud ka office tujhe mujhse hi
khulvana hai.
January ka mahina aaya,
aur saath mein shiv ji ka result bhi aaya,
Shiv ji ka naam merit list mein tha
aav dekha na taav shiv ji pahunche FICCI aur bole........
SIRRRR........PARTYYYYYYYYYYYYY
\"Success is not to be persued; it is to be attracted
by the person we become.\"
Jab swayam Bhagwaan Shiv Ne CA karne ki thaani
SSA JI (Ca Final ) (1970 Points)
10 January 2010