Hidden truth behind steve jobs's life....

CA Pallav Singhania (IT System Auditor) (33262 Points)

18 November 2011  

 

Steve Paul Jobs..

 

Steve ko Clara and Paul Jobs ne Godh (adopt) liya...aur ubka naam pada Steve Paul Jobs.

 

1974 mein JOBS Atari namak Co. video games Designer ki bhumika nibhai....fir kuch mehne baad wo Atari ko chor INDIA aa gaye....adhyatmik gyan (spiritual enlightenment) ke khoj mein...

 

1976 main JOBS aur WOZNAIK ne Apple computers ko Janam diya....

 

Jobs aur Woznaik ne Jobs ke garage se Apple Computers ki Shuruat ki....Finance ke liye Jobs ne apni Bus bech di...wahi Woznaik ne apni Scientific calculator...

 

Un dono ne computer jagat mein kranti(revolution) laadi...PC sirf $666.6 me...

 

3 saal baad unhone Apple II ko launch kiya.....Ab Steve Dunia me sabse kam Umra ke crorepati ban chuke thay Sirf 25 yrs ki age mein...

 

Jobs ki har kisi ke saath banti nahi thi...wo thore short tempered thay...unhe excuse dene wale log katai pasand nahi thay...

 

Apple Co. ke board ne Steve ki ye kamjori ko bhaap liya aur unhone Steve ke upar ek Boss lakar rakh diya...

 

Ye the Pesico Ltd ke expert marketing personnel........John Scully ....Apple ki President ki jagah li...

 

Pehle Scully and Jobs mein achi bani fir baad main....in dono mein bhi mat bhed hone lage...

 

ek waqt aisa aa gaya ki inn dono main baat cheet bhi band ho gayi...

 

1985 mein Jobs ko Apple se bahar ka rasta dekhna pada.....iska karan...tha Jobs ki banai...MAC(Macintosh)...

IBM ne MAC ko buri tarah Pachar diya tha...ab sare executives and Scully ne Jobs ko bahar nikalne par amada hogae thay..

 

Khusi ki baat ye rahi ki Steve ne Apple ke saare share bech diye siwae ek ke...

isse unhe bahut munafa hua....

Iske baad  Jobs ne nayi hardware and hardware Co. ko Jnam dia…NEXT…

 

fir unhone...ek small small Animation Studio  ko kharida...PIXAR…

 

Kareeb 10 saal ki mehnat ke baad 1995 mein  PIXAR Studios ki film aayi jisne…Vishwa jagat mein….Annimation film ka daur leke aayi…..THE TOY STORY…..iske piche haath tha….Jobs ka…

Fir Finding Nemo and The Incredible jaisi film one Jobs ko wapas aane ka sunhera Mauka de diya……..

 

1997 mein Apple ne NEXT ko kharid liya…aur Jobs wapas apne CEO ki post pea a gaye…

 

Jobs kabhi IBM ko piche karne ke maksad se wapas nahi aaye thay…..wo har insaan ke hatho me Apple ho…

 

Jobs ki haalat bhi kafi kharab hoti ja rahi thi…unka health kafi girta jar aha tha…

Issi doran….Steve ne PIXAR jisse unhone 10 million dollar me kharida tha usse…10 and above billion dollars me…Microsoft ko bech diya…jinse unhe bahut faida hua…

 

Iske baad Jobs ne Piche mur kar kabhi nahi dekha!!!

 

Ek waqt aisa bhi aa gaya tha…jab Apple ne Microsoft ko Bahut Piche chor diya….Vishwa ki sabse badi Co. ban gayi thi..

 

Jobs naye naye innovations diye ja rahe thay….IPOD…..jisney music jagat ko pehle hi ek Anokha Sitara de diya tha…ab …online music launch kiya….iTune…..

 

IPAD jisney sabka nazariya hi palat diya…ab PC logo ke liye Old Fashioned sa ho gaya!!!

 

Jobs ki health girti ja rahi thi…Jisse Apple ke shares ke daam me kafi Girawat aa gayi…

 

5 Oct..2011 ko Unka dukhad Nidhan ho gaya….