Heart Touching Poetry


(Guest)

 

jane kis baat ki woh mujh ko saza deta hai,
 meri hansti hui ankhon ko rula deta hai,
 ek muddat se khabar bhi nahi teri,
 kiya koi is tarha apno ko bhula deta hai?

 

 

Umar ki rah me raste badal jate hain,
 waqat ki andhi mein insan badal jate hain,
 Sochte hain thumain aitna yaad na karain lekin,
 Ankhain band karte he irade badal jate hain.

 

 

Haqeqat na pouch mere afsany ki,
 Tery jate he badal gai nazar zamany ki,
 log pochtay hain main khush kyon nahi,
 kya kahon unhe k meri adat thi tere sang muskurane ki

 

 

tarasti nazron ne har pal us ka sath manga,
 jaise asman ne raat main chand manga,
 roth gaya woh khuda bhi hum se,
 jab hum ne har dua main tumhara sath manga

 

 

woh pyari nigah sada yaad rahegi
 mil kar na milne ki ada yaad rahegi
 mumkin hai mere baad woh mujhe bhool jaye
 lekin umar bhar usse meri wafa yaad rahegi

 

 

jis ghari teri yadon ka sama hota hai
 phir moyassar humain aaram kahan hota hai
 hosla mujh main nahi tujh ko bhula dene ka
 kaam sadiyon ka hai lamho main kahan hota hai

 

 

kab hui pyar ki barsat mujhe yaad nahi
 khof main dobi mulaqat mujhe yaad nahi
 main to madhosh tha kuch itna us ki chahat main k
 us ne kab chor diya sath mujhe yaad nahi.

 

 

doriyan bohat hain magar itna samjh lo
 pass reh kar he koi khas nahi hota
 tum es qadar pass ho mere dil k
 mujhe doriyon ka ehsaas nahi hota.

 

 

tumhari yaadon main jalna ajeeb lagta hai
 dhere dhere piglhna ajeeb lagta hai
 sari duniya badal jaye to mujhe faraq nahi parta
 ek tera badal jana ajeeb lagta hai