Employee woh hai

Ravikant (Accountax) (6285 Points)

27 June 2011  

Employee woh hai...

jo aksar fasta hai interviews ke sawaal me

badi companiyon ke jal me

boss aur client ke bawaal me

 

Employee woh hai...

jise intezaar hai

weekend night par dhoom machane ka

boss ke chhuti par jane ka

increment ki khabar aane ka

 

Employee woh hai...

jo sochta hai

kaash padhai par dhyaan diya hota

kaash teacher se panga na liya hota

kaash ishq na kiya hota

 

Employee woh hai...

jo pak gaya hai

meetings ki jhelai me

submissions ki gehraai me

teamwork ki chataai me

 

Employee woh hai...

jo laga rahta hai

schedule ko fislane me

targets ko khiskane me

roz naye naye bahane banaane me

 

Employee woh hai...

jo lunch time me breakfast leta hai

dinner time me lunch karta hai

aur commutation ke waqt soya karta hai

 

Employee woh hai...

jo paagal hai

chai aur samose ke pyaar mey

cigarette ke khumar mey

birdwatching ke wichaar mey

 

Employee woh hai...

jo khoya hai

reminders ke jawab me

na milne wale hisab me

Behtar bhavisya ke khwab me