Ek Sachai

Kruti (C.A. Final Student) (195 Points)

05 March 2009  

 

EK SACHAI:-
 
Ek gaon mein bahut bandar the.
Wahan ek vyapari aaya aur usne elaan kiya: "Jo bhi mujhe bandar pakad ke dega usko mein ek bandar ke 1000/- rupee dunga".
 
Log faltu baithe the, unhone phataphat bandar pakadne chalu kar diye aur vyapari ko 1000/- mein bech diye.
 
Ab us gaon mein bandar bahut kam ho gaye.
 
Vyapari: Ab mein ek bandar ke 2000/- dunga.
 
Logon ne jee tod koshish karke bache khuche bandar pakad kar usko bech diye, ab bandar nahi ke barabar bache.
 
Toh Vyapari bola: Jo ab bandar layega usko 5000/- dunga.
 
Bol karke ek mahine ke liye pardes chala gaya. Jaane se pehle apne manager ko samjha kar gaya ki bandar ki mang badhegi aur tum 3000/- mein unko bech dena.
 
Sach-much aisa hi hua. Logon ne apne ghar-baar bech kar manager se 3000/- mein sab bandar kharid liye.
Manager bhi wahan se khisak gaya.
 
Ab us gaon mein na to woh Vyapari wapas aaya aur na bandaron ke bhav.
Ab us gaon mein bandar he bandar hain.
 

KAISI LAGI "STOCK MARKET" KI STORY!!!