Zindagi ek dod hai jisme aage nikalna hai
Galat rasta na chun le sambhal kar chalna hai
Agar majhdar me aye patthar to bhi na rukna hai
Is mushkil ko hatakar bhi badhte rahna hai>>>>>>>>>>
Galat rah hame apne paas bulati hai
Jo hoti aasaan par hamare zameer ko zhukati hai
Sahi rah ko chunkar is dod ko jeetna hai
Yahi to zindagi ko dil-o-jaan se jeena hai>>>>>>>>>>
Jo gamo se darker dod se hat jaye
Kayar hai wo insaan jo zindagi na jeena chahe
Kabhi nakamyabi kadmo ko rokti hai
Par chhoti chhoti khushiya bhi housla deti hai>>>>>>>>>>>
Par kabhi ek aisa bhi waqt ata hai
Thak kar jab insaan zindagi se haar jata hai
Aur is dod me rukne ko ji chahta hai
Par zindagi ka yahi khel hai na rukne wali ek rail hai.>>>>>>>
Is dod me jo bas chalta hi gya
Sahi rasta jise mila wo zindagi ki dod jeet gya
Galat raste se pai thi manzil jisne
Apne zameer jo zhukaya jisne wo dod haar gya>>>>>>>>>
SPECIAL THANKS TO DEEPA................ MY FRIEND