Chemistric Love story

Jayesh Morbia (Cheif Accountant) (84 Points)

15 April 2010  

Naa yeCHEMISTRY hoti, na me STUDENT hota Na wo LAB hoti, na wo LOVE ACCIDENT hota


Tabhi PRACTICAL ke waqt nazar aayi ek ladki khubsurat si naak uski TEST TUBE jaisi


Uski baaton me GLUCOSE ki mithas thi ETHYL ALCOHOL si thandi uski saans thi


Andhere me wo RADIUM ki tarah chamakti thi jab aankh mili to REACTION hua, love ka PRODUCTION hua!


Fir to lagne lage uske ghar ke chakkar aise, NUCLEUS ke charo aur ELECTRON jaise


Jis din TEST ka PERFECTION tha us din uske pitaji se hamara INTRODUCTION tha


Mano IGNITION TUBE se SODIUM ke piece nikal pade wo bole hosh me aao, pehchano apni aukat IRON kabhi mil nahi sakta GOLD ke saath!

Is tarah tod diya unhone hamare armano ka BEAKER hum chup hi reh gaye BENJALDEHYDE ka ghoont pikar.


Ab unki yado ke bina hamara kaam chalta nahi hain zindagi ho gayi AB UNSATURATED CARBON ki tarah, bekar ghumte AB hum awaara HYDROGEN ki tarah.