Chand ko chandni ki chamak batane vala nai chaiye
suraj ko uska path dikhane vala nai chaiye
prathvi ko uski gati batane vala nai chaiye
par badla he aaj ka pariprakshya itna ki
hame hamari taakat batane vala chaiye
q chitakti he dur,manjil aakar paas apne
aao samate,milkar hamare bikhre hue sapne
inhi sapno me chipa hua,hame hamara bharat chaiye
kya jarurat hai , muje tumhe jagane ki dosto
hame hamare irado ko majbut karna chaiye
aao badhaye haath apne,khaye kasam guru dhronacharya ki
bas, hame yo vahi chidiya ki aankh chaiye
man me hai ye vishvaas,badlenge yug ko ham
'ANJALI' ko bas tumahara saath chaiye
hame hamari taakat batane vala chaiye.
sapne unhi k pure hote he,jinke honslo me jaan hoti hai
pankh se kuch nai hota,honslo se hi udaan hoti he....
Written by : Anjali Somani