chalo ek din aisa manate hain...
dor baandh patango me aasmaani sair pe jaate hain..
baith kaagaz ki naawon pe nadi ghoom aate hain..
pencil ke chilke ke khoobsurat phool banate hain...
copy ke peeche pannon me teacher ke tasveer banate hain...
teacher ke janne k baad unki nakal banate hain...
diary check hone pe parents column me chupke se phir se sign banate hain...
test me no. kam hone pe phir se daant khate hain...
doston ke liye copy na laane pe, phir saath maar khate hain..
lunch me ek dusre ke tiffin se kabhi kuch kabhi kuch churate hain
chupke se unke tiffin me sweets rakh aate hain
raat me taaron ke sang chand ko bulate hain...
mumma ki lori ke sang chupke se so jate hain...
chalo ek din aisa manate hain...
by: me