Ca stdudent in ranjhaana style....

CA Pallav Singhania (IT System Auditor) (33362 Points)

18 August 2013  

"Raanjhana in CA Style"
 


Bas.. Bas itni hi kahaani thi meri..

Ek Module jise maine kabhi chhua nai tha...

ek kuch teachers the jo abhi bhi iss ummeed me the ki shayad
ye pass ho jaye...

Do room-met the jo pagal the.

 

Ek aur kitab thi jo course ki nahi thi jise mai 3 baar padh chuka tha.


mera lappy tha, mobile tha, Citizen ka calculator tha,
aur ye ek dimag tha, jo hamara sath chhod chuka tha,


aur ye ek hamara dil tha jisme ab bhi himmat baki thi..

hum padh sakte the, par kiske liye, hum fod sakte the par kiske liye..

mere dost, hostel, classes ki galiyan, sab mujhse chhut raha tha,
par rakh bhi kiske liye lete.

mere dil ki takat ya to mujhe pass kara sakti thi ya meri watt laga sakti
thi...

 

par sala ab padhe kaun,
kaun fir se mehnat kare xerox karaane ko, notes ratane ko.

abe koi to awaaz deke rok lo,
ye ICAI wale jo waise to har roz hamari lete rehte hain,
aaj bhi agar theek se module banayein to -
mahadev ki kasam, top kar jayen...

par nahi, ab sala mood nai hai,

kitab band kar lene me hi sukh hai,
notes rakh dene me hi bhalai hai.

Par uthenge kisi roz,
fir se attempt dene ko,
CA Ban jane ko,
garv se Auditor kehlane ko..!!

 

-Unknown