Bhartiya rail ki general boggi,pata nai aapne bhogi ya nai bhogi.
ek bar hame karni padi yaatra,station par dekhkar sawariyo ki maatra.
hamare passeinay chootne lage,hum jhola uthaye ghar ki taraf badhne lage.
tabhi ek kuli aaya,muskura kar bola,andar jaoge..
hamne kaha-tum pahuchaoge?
vo bola bade bade parsal pahucha diye,aapko bhi pahucha dunga.
magar rupayee pure 50(paccahs )lunga,humne kaha 50 rupayee?
vah bola -ha bhaiya, do aapke baki saman k.
hamne kaha saman nahi akele hum hai
vo bola babuji aap kisi saman se kam hai.
bheed dekh rahe he,kandhe par uthana padega
dhakka dekar khidki se ander pahuchana padega.
manjur ho to batao,hamne kaha-dekha jayega.tum uthao.
kuli ne jai bajrang bali ka naara lagaya
aur puri takat lagakar hame jaise hi uthaya ki khud baith gaya
dusri bar kosish ki toh hame bithakar khud late gaya
aur bola-babuji ham kya aapko uthayenge,aapko uthate uthate khud hi uth jayenge.
tabhi ghaadi ne seety de di,ham jhola uthakar bhaage,badi muskil se ander ghus payee
dibbe ka drashya(scene)bada ghamasan tha,pura dibba apne aap me hindustan tha.
log khade the,baithe the,late the.
tabhi ek ganje aadmi ko dekh kar hamne kaha,bhaisahab thodi jagah chahiye.
vo bola hamari khopdi par baith jaiye,aapke liye hi to saaf karvai he.
kaval 2 rupeyee dena,lekin fisal jao to hamse mat kahna.
tabi ek bora khidki k raaste se ander chadha aur ganje k sir par aa pada
ganja chillaya-ye kiska bora he?bora foran hua khada
aur usme se ek ladka nikal kar bola
akela nai he bora,iske ander he chora
usne kaha ander aane ka yahi tarika he
hamne maa-baap se sikha he,aap ek hi bore mai gabra rahe hai
jara ruk jao,gaddhhe me lipat kar hamare pitaji aa rahe hai
ek sajjan baithe the aankhe munde(band kar k)
unke sir p giri achanak pani ki boonde
vo sir uthakar chillaye-kon kon hai
bolta q nai,pani girakar mon(chup)he
dikhta nai niche tumahra baap baitha he
tabi upar se aawaj aai,yah pani nai hai
hamara 6(che)mahine ka baccha baitha hai,kripaya maaf kijiye
or apna sir neeche kijiye
varna bacche ka kya bharosa,pata nai iske baad kya aaye parosa
ek manubhaav baithe the sparivar,hamne kaha, kaha ja rahe ho sarkar
vo jallakar bole-jahhnum me
hamne kaha-wid family
vo chillakar bole-aapko bhi hame ukhadene ki yahi jagah mili thi
achanak ghaadi bade jor se hili,koi khushi k maare bola-aray chali chali
dusra bola-jai bajrang bali,teesra bola-ya ali
hamne kaha-kahe k ali or kahe k bali,ghaadi to bagal vaali chali.