Bharat Swabhiman Poem

komal Jangir (Article) (177 Points)

10 September 2010  

Gita ki kasam tumhe, tumhe kasam Quran ki,
Bible ki hai kasam, tumhe kasam imaan ki.

Desh ki pukaar hai, pukaar hai samaaj ki.
Rashtra dharam ban gayi hai ekta hi aaj ki
Desh ki samridhi mein lagaa do baaji jaan ki.

Desh, bhasha, jatiyon ke beech na vivaad ho,
Har hridya vishaal ho ek samvidhan ho,
Aa gayi kathin ghadi parakh tere imaan ki.

Daav, pecho ne hamare dharam ko jakad liya,
Mook dharam, ho vivash tadap raha bilakh raha
Hato nahi svadharam se kasam tere jabaan ki.