Beti says...

693 views 1 replies

Beti says:

Mujhe itna pyar na do baba ..
Kal jane mujhe naseeb na ho..
Ye jo matha chuma karte ho .. ...
Kal is per shikan ajeeb na ho..

Mein jab bhi roti hun baba,
Tum ansu poncha karte ho..
Mujhe itni dur na bhejana,
 Mein roun aur tum kareeb na ho…

Mere naaz uthate ho baba
Mujhpe laad lutate ho baba
Meri choti choti khwahish per
Tum jaan lutate ho baba..

Kal aisa ho ek nagri mein
Mein tanha tum kO yaad karun..
Aur ro ro kar faryad karun,
Ae Bhagwan mere baba sa,

Koi pyar jatane wala hO,
Mere naaz uthane wala hO..

Mere baba muj se wada karo!
Mujhe tum chupa kar rakho ge
Duniya ki zalim nazron se


Father replied:

Har dam aisa kab ho paya hai..
Jo soch rahi ho laado tum
Wo sab to bas ek maya hai
Koi baap apni beti ko
Kab jane se rok paya hai
Sach kehte hain duniya wale
Beti to dhan paraya hai
Ghar ghar ki yehi kahani hai
Duniya ki reet purani hai
Har baap nibhata aya hai
Tere baba ko bhi nibhana hai…

Replies (1)

Kuch yoon Hua k Jab bhi Zaroorat pari Mujhe.....
Har Shakhs ittefaaq se Majboor ho gaya...........


CCI Pro

Leave a Reply

Your are not logged in . Please login to post replies

Click here to Login / Register