arz kiya hai

Page no : 6

Rahul Sharma (Student + A.M.- Finance)   (2530 Points)
Replied 19 January 2011

Nigaho mein manzil thi,
gire aur gir kar sambhalte rahe,
hawao ne bahut koshish ki,
magar chirag aandhiyo mein bhi jalte rahe.


Rahul Sharma (Student + A.M.- Finance)   (2530 Points)
Replied 19 January 2011

Koshish Ke Bawajood..Ho jaati hai kabhi Haar
Hoke Niraash Mat baithna Ae Yaar.Maan ko apne maar
Badte rehna age ho jaisa bhi Mausam
Paa Leti Manjil chinti bhi..Gir Gir Kar kai Baar..


Rajesh (Service ) (7576 Points)
Replied 19 January 2011

Hum se koi gila ho jaye to sorry,
Aapko yaad na kar paye to sorry,
Wese dil se toh aapko bhulayenge nahi,
Par Dhadkan hi ruk jaye to sorry,


Rajesh (Service ) (7576 Points)
Replied 19 January 2011

Nazare usse milau to sharminda na kar de,
Izhar karu to inkar na kar de,
Meri lash ke pass mat bithana use,
Dar hai wo chu kar mujhe jinda na kar de.


Rajesh (Service ) (7576 Points)
Replied 19 January 2011

Ab kuch na kisi se bolenge,
Bus tanhai me chupchap rolenge,
Ab nind to ankho me aati nahi,
Chalo jab maut aayegi to jee bharkar solenge.



Rajesh (Service ) (7576 Points)
Replied 19 January 2011

 

Kisi Ne Poocha Mohabbat Kiya Hai?

Samandar nay kaha....
Mohabbat samandar key gehraiyo may chepie hoe eik seepe hai.. Jiss may 
chahat jessa anmol moti mojood hai.

Baadal nay kaha ....
Mohabbat eik ~dhanak hai . Jiss may har Rang Nomaya hota hai...

Shairr nay kaha....
Mohabbat eik esse ghazal hai ,, Jo har eik sunay walay kay dil may 
uttar te chali jate hai ...

Saaz nay kaha ....
Mohabbat eik essa geet hai .. Jo Dil may uttar jata hai ...

Malee nay kaha....
Mohabbat gulshan kay phool key woh dilkash khusboo hai... Jiss may sara 
gulshan mehak uttah hai...

Ankhon nay kaha ....
Mohabbat ansoo ka samandar hai.. jo kisse kay intezar may khamoshi say 
behta hai...

Dil nay kaha ....
Mohabbat kisse ko Khamoshi say chahay janay ka naam hai... kay aakhire 
waqt bhee Izhar na kiya jay...

Naseeb nay kaha ....
Mohabbat wala duniya ka khush Kismat tareen insaan hai .. Aur jiss kay Dil may Mohabbat nahin... Woh duniya ka Badd Tareen shakhs Hai...

Nafrat nay kaha ....
Aakhiri Jeet Mohabbat ki Hoti hai





Gopal Sengar (CA STUDENT) (531 Points)
Replied 20 January 2011

thanks all of u


Rajesh (Service ) (7576 Points)
Replied 21 January 2011

Tere bagair jindagi achi lagti nahi,
Koi khushi ab sacchi lagti nahi,
Mat pooch mujhase tu judaai ka aalaam,
Tere bagair chaandni bhi bhali lagti nahi.


Rajesh (Service ) (7576 Points)
Replied 21 January 2011

Kyon door ho kar bhi

Koi dil ke paas rehta hai.

Dil ke paas ho kar bhi

Kyon us ka intezaar rehta hai.

Yeh kaisa dard hai

Jo meetha sa lagta hai.

Mehfil mein hoon magar

Mujhe tanha sa lagta hai.

Kyon ham har pal

Unke khayaalon mein khoy rehte hain.

Unke hi khayaalon se

Apni duniya sajaaye rehte hain.

Kyon lagta hai

Ham unke bina adhoore hain.

Mil jaaye agar woh

Tau saare sapne pooray hain.


Rajesh (Service ) (7576 Points)
Replied 21 January 2011

Behte Hue DarIyaKo Kya Modega KoI
Tute Hue ShIsheKo Kya Jodega KoI
Chalo FIr Se 1Bar Ishq Kar K Dekhte H
Ab Is Tute Hue DIlKo Kya Todega KoI 



Rajesh (Service ) (7576 Points)
Replied 21 January 2011

Click to join Dil Se Desi Group…Zabardast Masti ka Adda!



(Guest)

so all of u r decided to change the icai ...

if all of us come and start taking papers i think the result is going to be like ;-  18000 appear 

               36000 pass

               who know the best 4 line is the topper

and i think  its a tougher think to decide who will top , bcause pass to aap sab hai hi  just topper ko dundana hai ....very very very well written

a good post manmohan ..nicely contributed by every one


Syed Farzan (CA IPCC) (748 Points)
Replied 19 February 2011

Arz kiya hai..

Yad ata hai apka wo bachpan ka zamana... 

k yad ata hai apka wo bachpan ka zamana..

pathli tango par latakta hua pajama...

andhere kamre se makhi hakalte hue ye awaz lagana....

Mummy.....!! hogaya.. zara akar dhulana....!!!!


Rahul Sharma (Student + A.M.- Finance)   (2530 Points)
Replied 19 February 2011

Ek baar phir Arz kiya hai........

 

Unhe hamesha main chahata hi rahunga ,
Unka naam lekar ye zindagi gujarta hi rahunga,
Khata ho duniya ke nazron mein toa khata hi sahi …ye khata main karta hi rahunga,
Aap mujhe mile ya na mile ai mere humsafar mar kar bhi aapka intezar karta hi rahunga…



Rahul Sharma (Student + A.M.- Finance)   (2530 Points)
Replied 19 February 2011

Aur ek....pasand aayega

 

Na jane kyun apne saye se bhi dar raha hoon main,
Apni hi galiyon se chhupkar guzar raha hoon main,
Maangi thi kabhi duaaon mein ik anokhi maut maine,
Isiliye shayad jeete-jea mar raha hoon main



Leave a reply

Your are not logged in . Please login to post replies

Click here to Login / Register  

Join CCI Pro


Subscribe to the latest topics :

Search Forum: