Aisi hoti hai maa

vishal singhal (emp) (55 Points)

02 February 2012  

 

Pyar Kehte Hai Mamta Kya Cheez Hai
Koi Un Bachoon Sai Poocheye Jin Ki Nahi hoti Hai Maa,

Dair Ho Jati He Ghar Aaane Main Aksar Jab Hamme
Rait Per Machli Ho Jaisay Aise Ghabrati Hai Maa,

Marte Dam Bacha Na Aapaye Agar Pardes Se
Apni Donoo Aakhein Chokhat Pe Rakh Jati Hai Maa,

Mout Ki Aaghosh Main Jab Thak Ke Soo Jati Hai Maa
Tab Kaheen Ja Kar Thora Sukoon Pati Hai Maa,

Fikr Main Bachoon Ki Kuch Is Terha Ghul Jati Hai Maa
Nojawaan Hote Huwe Boodhi Nazar Aati Hai Maa,
 
  Rooh Ke Rishtay Ki Yeah Gehraiya to Dekhiye
Chhot Lagti Hai Humme Aur Chillati Hai Maa,

Kab Zarurat Ho Meri Bachay Ko Itna Sooch Kar
Jaagti Rehti Hain Aankhain Aur Soo Jati Hai Maa,
  
  Bhuka rehne hi nahi dethi humko khabhi
Jane kiskis se kahan se mang kar lati hai maa,

Haddiyo Ka Ras Pila kar Apne Dil Ke Chain Ko
Kitne Hi Ratoon Mai Khali Pait So Jati Hai Maa,
  

  Pehlay Bachoon Ko Khilati Hai Sukoon-o-Chain Se
Baad Mai Jo Kuch Bacha ho Shouk Se Khati Hai Maa,

Mangti Hi Kuch Nahi Apnai Leye Khuda Se
Apnai Bachoon Ke Liye Daman Ko Phailati Hai Maa,
 

Chahe hum khushyoun me maa ko bhool jayen doasto 
Jab musibat sar pe aati hai tho yaad aati hai maa,

Shukriya ho hi nahi sakta khabhi us ka ada
Marte marte bhi dua jine ki de jati hai maa........!!!