Aadab Arz Hai...

Rajesh (Service ) (7576 Points)

28 April 2011  

Rasamo riwazo ki jo parwah karte hai,

Mohabat me wo log gunah karte hai,

Ishq to wo junun hai meri jaan,

Jisme diwane apni khushi se khud ko tabah karte hai.
 
*************************************
Apanapan sikha kar juda na ho jana,

Bina soche samjhe khafa na ho jana,

Duniya me hum kise apna kahenge?

Sab ki tarah aap be bewafa na ho jana.
 

*************************************
Hakikat me jina jab adat ban jati hai,

Khwabo ki duniya berang mazar aati hai.

Koi intejar karta hai jindagi ke lie,

Aur kisi ki jindagi intejar me gujar jaati hai.

  

*********************************
Kadmo ki duri se dilo ke fasale nahi badte,

Dur hone se dosti ke ahesas nahi marate,

Kuch kadmo ka fasla hi sahi hamare bich,

Par koi pal nahi jab hum aapko yaad nahi karte.
 
*******************
Maine kaha - Wo ajnabi hai

Dil ne kaha - Ye dillagi hai

Maine kaha - Wo sapana hai

Dil ne kaha - Fir be wo apana hai

Maine kaha -Wo sirf intejar hai

Dil ne kaha - Yahi to pyar hai.