A daughter's letter to her parents

CA Pallav Singhania (IT System Auditor) (33262 Points)

13 June 2012  

 

 
 
 
 
Maa Jab main ghar aau mujhe apnana,
Tum baba ko bhi samjhana,
Nanhe Nanhe kadmo main aaungi,
Bhar-Bhar ke khusiya ghar laungi.
 
 
Bhaiya ko bahut pyar dena,
magar mere liye bhi kuch bachana,
Main beti hi sahi baba,
Magar mujhe bhi bete ke jaise apnana...
 
 
Dusre baccho ki tarah mujhe bhi padhana,
Ek saccha, kabil Insaan banana,
Galti karu toh tum mujhe samjhana,
Daat'tna jaroor, magar rou toh manana..
 
 
Beti ke Ma-Baap hone se na Ghabrana,
Moka dena mujhe, Khudko sabit hai kar Dikhana,
Fal ki chah main Phool ko na bhul jana,
"Baghban" hone ka Farz jaroor nibhana...
 
 
Agar ho bete ki chah,
Toh mujhe jaroor batana,
Beti hone ki wajah se mujhe na thukrana,
Galti thi kya meri pehle ye to batana..
 
 
By Aryan